Pehlu Mein Yaar Ho To Lyrics | Shrimanji

                        Pehlu mein yaar ho to kis baat ki kami hai

Hai khush nasib jisko ye zindagi mili hai
Ye zindagi mili hai

Ho ik taraf khudai aur ik taraf mohabbat
Mai mang lun khuda se ik dilruba ki chahat
Ik dilruba ki chahat
Jannat se khubsurat diladar ki gali hai
Hai khush nasib jisko ye zindagi mili hai
Ye zindagi mili hai
Pehlu mein yaar ho to kis baat ki kami hai

Yun kis tarah kisi ka ham aitabar kar le
Hai zindagi ka sauda ham kaise pyar kar le

Ham kaise pyar kar le
Uljhan hai khubsurat mushkil si aa padi hai
Hai khush nasib jisko ye zindagi mili hai
Ye zindagi mili hai
Pehlu mein yaar ho to kis baat ki kami hai.