Hum Kitne Nadan The Yaaro Lyrics | Sitamgar

                        
                        Hum kitne nadan the yaro
Aaj ye samjhe aaj ye jana
Hum kitne nadan the yaro
Aaj ye samjhe aaj ye jana
Sach hain agar to ek mohabbat

Jooth hain baki sara fasana
Hum kitne nadan the yaro
Aaj ye samjhe aaj ye jana

Pad gaye jaise in aankho pe
Zulm ke nafrat ke parde
Pad gaye jaise in aankho pe
Zulm ke nafrat ke parde
Zindagi tera mujrim hoon main
Ho sake to maf kar de
Andhi rah ke andhe safar mein
Beet gaya jeene ka jamana
Hum kitne nadan the yaro
Aaj ye samjhe aaj ye jana

Ab ye mohabbat ka ahesan hain
Ye to thodi jan hain mujhme
Ab ye mohabbat ka ahesan hain
Ye to thodi jan hain mujhme
Aap hi main jiska katil hain
Zinda wo insan hain mujhme
Khel ke arman hain kya kya
Ye to abhi dekhega jamana
Hum kitne nadan the yaro
Aaj ye samjhe aaj ye jana
Sach hain agar to ek mohabbat
Jooth hain baki sara fasana
Hum kitne nadan the yaro
Aaj ye samjhe aaj ye jana.