Ye Shokh Ada Mast Nigah Lyrics | Son Of Ali Baba

                        
                        ye shokh ada mast nigah, ye shokh ada mast nigah
jab tadpaye chain na aaye tum hi batao kya kare
ye thandi hawa rangin fiza, jab gungunaye dil ko sataye
tum hi batao kya kare, ye thandi hawa rangin fiza

tu mera fasana mai teri kahani
tere hi sahare hai meri jindgani
tu mera taswwur khwabo ki rani
dil me hai dhadkan teri rat suhani
ye khoi najar shamo sahar
tumko bhulaye lekin na paye
tum hi batao kya kare
ye thandi hawa rangin fiza

ye dil bhi hai tera jan bhi hai teri
tu pas ho to sari dunia hai meri
tu mera sahara takdir meri
tere bina hai dil ki dunia andheri
aye jane wafa khuda hai gawah
khud ko bhulaye baithe hai haye, tum hi batao kya kare
ye thandi hawa rangin fiza, jab gungunaye dil ko sataye
tum hi batao kya kare, ye thandi hawa rangin fiza