Kaise Kahun Lyrics | Strings - Bound By Faith

                        
                        isme hi jine ka saar chhupa hai
kaise kahu main ye pyar kya hai
kaise kahu main ye pyar kya hai

amrit ka pyala jag ka ujala
pyar se har man banta shivala
ganga se nirmal bachpan sa nishchhal
pyar se mahke sanso ki mala
pyar hai aasha naino ki bhasha
pyar bina hai jag pyasa pyasa
pyar ki pida hi apni dwa hai
kaise kahu main ye pyar kya hai
kaise kahu main ye pyar kya hai

pyar samarpan dishaon ka bandhan
bhawon ka chumban khamosh gunjan
pyar manan hai hum meinn chhuvan hain
pyar hi darshan pyar naian hai
pyar hi trisna pyar hi tripti
pyar ki krishan radha ki murti
pyar naa jane kisne rachaya hai
kaise kahu main ye pyar kya hai
kaise kahu main ye pyar kya hai
isme hi jine ka saar chhupa hai