Meri Biwi Jahaa Se Nirali Hai Lyrics | Subah-O-Shaam

                        
                        meri biwi jaha se nirali hai
jaan zalim ne meri nikali hai
meri biwi jaha se nirali hai
jaan zalim ne meri nikali hai
dur rahta hu mai pas jata nahi
aye to nagan koi kali kali hai
meri biwi jaha se nirali hai
jaan zalim ne meri nikali hai

har ghadi mujhse ladne ko taiyar hai
har ghadi mujhse ladne ko taiyar hai
meri tauba ye kitni wafadar hai
ye wafadar hai
mujhko jannat mile ya jahanum mile
har jagha sath ye jane wali hai
meri biwi jaha se nirali hai
jaan zalim ne meri nikali hai

kahti rahti hai kya kya na jane sada
kahti rahti hai kya kya na jane sada
suta rahta hu mai iske tane sada
iske tane sada
dono rahte hai masruf yu rat din
na to mai khali hu na wo khali hai
meri biwi jaha se nirali hai
jaan zalim ne meri nikali hai

dekhti hai mujhe is tarha ruthkar
dekhti hai mujhe is tarha ruthkar
roz rah jata hai dil mera tut kar
dil mera tut kar
kise jakar mai iski shikayat karu
koi sala hai na koi sali hai
meri biwi jaha se nirali hai
jaan zalim ne meri nikali hai