Indian Film History

Maa Lyrics

From Taare Zameen Par (2007)

Duration
5:14
Main kabhi batlata nahin Par andhere se darta hun main maa Yun to main dikhlata nahin Teri parwaah karta hun main maa Tujhe sab hain pata hain na maa Tujhe sab hain pata meri maa Bheed mein yun na chodo mujhe Ghar laut ke bhi aa naa paoon maa Bhej na itna door mujkko tu Yaad bhi tujhko aa naa paoon maa Kya itna bura hun main maa Kya itna bura meri maa Jab bhi kabhi papa mujhe Jo zor se jhoola jhulate hain maa Meri nazar dhundhe tujhe Sochu yahi tu aa ke thaamegi maa Unse main yeh kehta nahin Par main seham jaata hun maa Chehre pe aana deta nahin Dil hi dil mein ghabraata hun maa Tujhe sab hai pata hai naa maa Tujhe sab hai pata meri maa Main kabhi batlata nahin Par andhere se darta hun main maa Yun to main dikhlata nahin Teri parwaah karta hun main maa Tujhe sab hain pata hain na maa Tujhe sab hain pata meri maa.

More songs from Taare Zameen Par

Maa Lyrics - Taare Zameen Par (2007) | Indian Film History