Yaar Badal Na Jaana Mausam Kee Tarah Lyrics | Talaash The Hunt Begins

                        
                        Armaano ke iss gulshan me
Tum aaye ho saawan ki tarah
Yaar badal na
Jaana mausam ki tarah
O mere yaar badal na
Jaana mausam ki tarah

Tum kya jaano mere dil me
Tum rehati ho dhadkan ki tarah
Yaar badal na
Jaana mausam ki tarah
O mere yaar badal na
Jaana mausam ki tarah

Saagar ke sang lehar kiran
Suraj ke saath me chalati hain
Shama hamesha parwaane
Ki chaahat me he jalati hai
O phul me khushabu rehati
Hain aur sip me moti rehata hain
Tera mera hoga milan
Dharati se ambar kehata hai
Mere hoto pe rehna har dam
Saajo me chhupi sargam ki tarah
Yaar badal na
Jaana mausam ki tarah
O mere yaar badal na
Jaana mausam ki tarah

Milake juda abb hone se
Dil kyon darata hain khone se
Milake juda abb hone se
Dil kyon darata hain khone se
Mai tere saath me
Abb rahunga sada
Maine le hai kasam
Hain mera faisala
Aakhari saas tak

Ham na honge juda
Yaar badal na jaana
Mausam ki tarah
O mere yaar badal na
Jaana mausam ki tarah

Tum kya jaano mere dil
Me tum rehati ho
Dhadkan ki tarah
Yaar badal na
Jaana mausam ki tarah
O mere yaar badal na
Jaana mausam ki tarah
Sarkaar badal na
Jaana mausam ki tarah
Dekho yaar badal na
Jaana mausam ki tarah.