Aji Ho Tash Ke Bawan Patte Sab Ke Sab Harjayi, Mai To Lut Gaya Ram Duhayi Lyrics | Tamanna

Lyricist : Anand Bakshi
Music Director : K P Atma , Kalyanji-Anandji
Singer : Mukesh
                        
                        aji o taash ke bawan patte, panje chhakke satte
sab ke sab harjaayi mai to lut gaya
mai lut gaya raam duhayi
mai lut gaya raam duhayi
taash ke bawan patte, panje chhakke satte
sab ke sab harjaayi mai to lut gaya
mai lut gaya raam duhayi
mai lut gaya raam duhayi

daan yatimo ko deta toh, dani mai kahlata
dani mai kahlata
khush ho jati biwi jo, usake gahane banwata
uske gahne banwata
maine kagaj ki begam, se kahe aankh ladai
mai lut gaya raam duhayi
mai lut gaya raam duhayi
taash ke bawan, patte panje chhakke satte
sab ke sab harjaayi mai to lut gaya
mai lut gaya raam duhayi
mai lut gaya raam duhayi

apne dil kaa chain bhi, hara aur daulat bhi hari
aur daulat bhi hari
malik ne insan banaya, mai ban gaya juari
mai ban gaya juari
gali gali me ho gayi, yaro aaj meri rusawayi
mai lut gaya raam duhayi
mai lut gaya raam duhayi
taash ke bawan, patte panje chhakke satte
sab ke sab harjaayi mai to lut gaya
mai lut gaya raam duhayi
mai lut gaya raam duhayi

are raja or pandav haare, par himmat na hare
par himmat na hare
are jate jate ho jaye ek, baji mere pyare
ha baji mere pyare
ye khelo na ye khelo bhai khelo
jeb hai meri khali hay hay
jeb hai meri khali, kaise khelu koi bataye
kaise khelu koi bataye
dhad girvi rakh ke le jata hai kahe ko ghabraye
sai kahe ko ghabraye
ghar se beghar kyu karte ho ghar jaane do bhai
mai lut gaya raam duhayi
mai lut gaya raam duhayi
taash ke bawan, patte panje chhakke satte
sab ke sab harjaayi mai to lut gaya
mai lut gaya raam duhayi
mai lut gaya raam duhayi.