Mujhe Bhul Jaana Agar Ho Sake Lyrics | Taqdeer

                        
                        mujhe bhul jaana agar ho sake, mujhe bhul jaana agar ho sake
na phir yad aana agar ho sake
mujhe bhul jaana agar ho sake, mujhe bhul jaana

mera pyar gujare jamane ki hai baat
mera pyar gujare jamane ki hai baat
rahe yad kyon bhul jane ki baat
nahi koyi aansu bahane ki baat
na aansu bahaana agar ho sake
mujhe bhul jaana agar ho sake, mujhe bhul jaana

mujhe maaf karana mere hamsafar
mujhe maaf karana mere hamsafar
kahi kho gaya mai tumhe chhod kar
tumhe maine aansu diye hain magar
sada muskaraana agar ho sake
mujhe bhul jaana agar ho sake
na phir yad aana agar ho sake
mujhe bhul jaana agar ho sake, mujhe bhul jaana