Khoon Ke Aansoo Rula Kar Kya Milega Zindagi Lyrics | Tawaif Ki Beti

Lyricist : Rajendra Sanjay
Music Director : P Unnian , Ghulam Ali
Singer : Anwar
                        
                        khun ke aansu rula kar kya milega zindagi
khun ke aansu rula kar kya milega zindagi
kis tarah se ji raha hai dekh tera aadami
khun ke aansu rula kar kya milega zindagi
nastar se chhalni hai sina
kadam kadam par mushkil jina
nastar se chhalni hai sina
kadam kadam par mushkil jina
charo taraf majhdar bhanvar hai
kashti tuti shahil chhina
chup tumhara aasman hai
chup tumhari ye jamin
kis tarah se ji raha hai dekh tera aadami
khun ke aansu rula kar kya milega zindagi

bhaho par halat ke pahare
dard ke naina hum par thahre
bhaho par halat ke pahare

dard ke naina hum par thahre
kab tak koi dhir dharega
jakhm hare hai gahare gahare
kab talk ye julm
hum par tu karegi zindagi
kis tarah se ji raha hai dekh tera aadami
khun ke aansu rula kar kya milega zindagi

aahon ke mele me akele
majburi bhi hum se khele
aahon ke mele me akele
majburi bhi hum se khele
hum ko bana kar khel khilone
tumne rachaye itne mele
ab na koi rahnuma hai
aur na koi humnashi
kis tarah se ji raha hai dekh tera aadami
khun ke aansu rula kar kya milega zindagi.