Aankho Me Hai Aansu Lyrics | Tere Pyaar Mein

                        
                        aankho me hai aansu, hontho par hansi
aankho me hai aansu, hontho par hansi
meet mere samjhe yahi hai zindagi
yahi hai zindagi, yahi hai zindagi
aankho me hai aansu, hontho par hansi

kisse kare hum shikayat
kisse kare hum gila
duniya me kaun aisa
jisko gham na mila
kisse kare hum shikayat
kisse kare hum gila
duniya me kaun aisa
jisko gham na mila
kaanto me jo na uljha ho
aisa koi bhi nahi
meet mere samjhe yahi hai zindagi
yahi hai zindagi, yahi hai zindagi
aankho me hai aansu, hontho par hansi

kal ke aasre me ek sham aur chal basi
dur kabhi to hogi apni ye bebasi
kal ke aasre me ek sham aur chal basi
dur kabhi to hogi apni ye bebasi
sapna jo lagta hai
ho sach shayad wahi
meet mere samjhe yahi hai zindagi
yahi hai zindagi, yahi hai zindagi
aankho me hai aansu, hontho par hansi