Dekha Jo Tumhe Dil Ye Bekrar Ho Gaya Lyrics | The Don

                        
                        dekha jo tumhe dil ye bekarar ho gaya
o jane jana hamko tumse pyar ho gaya
dekha jo tumhe dil ye bekarar ho gaya
o jane jana hamko tumse pyar ho gaya
pahli nazar me tumpe dil nisar ho gaya
o jane jana hamko tumse pyar ho gaya
tumko aankho me basaya maine
tumko palko pe sajaya maine
mere khwabo me tum hi chayi ho
meri sanso me tum samayi ho
jhaka jo dil me aapka didar ho gaya
o jane jana hamko tumse pyar ho gaya
dekha jo tumhe dil ye bekarar ho gaya
o jane jana hamko tumse pyar ho gaya
meri jan tum ho zindagi meri
tumse zinda hai har khushi meri
tum hi tum ho meri nigaho me
meri manzil tumhari raho me
har lamha tumhara hi intzar ho gaya
o jane jana hamko tumse pyar ho gaya
dekha jo tumhe dil ye bekarar ho gaya
o jane jana hamko tumse pyar ho gaya
meri mashuk hai khafa mujhse
maaf kar do hui khata mujhse
kab talak ruthi rahogi hamase
maan jao hai iltiza tumse
bin aapke jina mera dushwar ho gaya
o jane jana hamko tumse pyar ho gaya
dekha jo tumhe dil ye bekarar ho gaya
o jane jana hamko tumse pyar ho gaya