Teri Khatao Ki Kya Du Saza Lyrics | Thief of Baghdad

                        
                        pal bhar ka mehman hai tu sanam
baate bahut hai magar waqt kam
maine kaha tune suna
teri khatao ki kya du saza
teri marji hai kya
ha teri marji hai kya
bewafa, bewafa, bewafa bewafa haye bewafa
teri khatao ki kya du saza
teri marji hai kya
bewafa, bewafa, bewafa bewafa haye bewafa

jee bhar ke kitna sataya hai mujhko
sataya hai mujhko
jee bhar ke kitna sataya hai mujhko
hans hans ke kitna rulaya hai mujhko
kadmo pe apne jhukaya hai mujhko
jhukaya hai mujhko
aankhe utha mujhse najre mila
teri marji hai kya
ha teri marji hai kya
bewafa, bewafa, bewafa bewafa haye bewafa

rote huye apne dil ko hansa lu
dil ko hansa lu
rote huye apne dil ko hansa lu
gin gin ke main sare arma nikalu
jeene du ya jaan se maar dalu
jaan se maar dalu
hai mere hatho me ye faisla
teri marji hai kya
ha teri marji hai kya
bewafa, bewafa, bewafa bewafa haye bewafa

jaisa kahe waisa insaaf kar du
insaaf kar du
jaisa kahe waisa insaaf kar du
pal bhar me jhagda tera saaf kar du
maafi agar maang le maaf kar du
maang le maaf kar du
khamosh kyu ke sitamgar bata
teri marji hai kya
o teri marji hai kya
bewafa, bewafa, bewafa bewafa haye bewafa
teri khatao ki kya du saza
teri marji hai kya
bewafa, bewafa, bewafa bewafa haye bewafa