Ye Chand Bata Tune Kabhi Pyar Kiya Hai Lyrics | Yahoodi Ki Ladki

Lyricist : S H bihari
Music Director : S D Narang , Hemant Kumar
Singer : Asha Bhosle
                        
                        ae chand bata tune kabhi pyar kiya hai
dil apna kisi chahne wale ko diya hai
ae chand bata tune kabhi pyar kiya hai
dil apna kisi chahne wale ko diya hai
kabhi pyar kiya hai

wo jaam jise peeke ye dil jhum raha hai
ye dil jhum raha hai
din raat khayalo me unhe chum raha hai
unhe chum raha hai
kya tune bhi wo jaam mohabbat ka peeya hai
dil apna kisi chahne wale ko diya hai
ae chand bata tune kabhi pyar kiya hai
dil apna kisi chahne wale ko diya hai
kabhi pyar kiya hai

main uski diwani hu wo hai mera diwana
main uski kahani hu wo hai mera fasana
kya ye bhi maja tune mohabbat ka liya hai
dil apna kisi chahne wale ko diya hai
ae chand bata tune kabhi pyar kiya hai
dil apna kisi chahne wale ko diya hai
kabhi pyar kiya hai

ae chand agar unki gali tera ho jana
agar tera ho jana
to jake unhe dil ka mere haal sunana
mere haal sunana
kahna ke mere dil ne unhe yaad kiya hai
dil apna kisi chahne wale ko diya hai
ae chand bata tune kabhi pyar kiya hai
dil apna kisi chahne wale ko diya hai
kabhi pyar kiya hai