Piya Bin Lyrics | Yeh Hai India

                        
                        Piya Piya Piya
Piya bin main kya ?
Kuch bhi nahi
Piya bin main kya ?
Kuch bhi nahi

Jabse gaye mori sudh hi na leeni
Jabse gaye mori sudh hi na leeni
Tumhi batao ore piya
Tumhi batao oo piya..

Yaad kiya jab un lamho ko
Saath mein jo the bitaaye
Tumhi kaha karte the na mujhko
Zindagi tham jaaye

Saare woh pal rukk bhi gaye hai
Yaadein purani lamhe wahin hai
Saare woh pal rukk bhi gaye hai
Yaadein purani lamhe wahin hai
Bas tum nahin ho, dhoondun kahan ?
Bas tum nahin ho, oo piya..

Piya bin main kya ?
Kuch bhi nahi
Piya bin main kya ?
Kuch bhi nahi

Har din beeta ujla ujla
Shaamein beeti suhaani
Raaton mein bhi halka nasha tha
Aisi thi prem kahani

Mujhme tu phir yun jee paaye
Saanson se saanse jud jaaye
Mujhme tu phir yun jee paaye
Saanson se saanse jud jaaye
Tutte kabhi na door piya..
Saath na chhote oo piya..

Piya bin main kya ?
Kuch bhi nahi
Piya bin main kya ?
Kuch bhi nahi..