Main Kaun Hoon Lyrics | Yeh Zindagi Ka Safar

                        
                        Main kaun hun kya hun
Jaana mujhe hain kahan
Ay zameen aasman
Ay hawa tu bata
Kaun hun main
Kya hun main
Kahan mujhe hain jaana
Main kaun hun kya hun
Jaana mujhe hain kahan

Ay zameen aasman
Ay hawa tu bata
Kaun hun main
Kya hun main
Kahan mujhe hain jaana

Hawa ko main rok lun
Main khushbu ko baandh dun
Sitare tod laaongi
Main chaandni churaaongi
Ay zindagi magar bata
Main kaun hun kya hun
Jaana mujhe hain kahan
Ay zameen aasman
Ay hawa tu bata
Kaun hun main kya hun main
Kahan mujhe hain jaana

Main aa gayi hun kahan
Yeh kho gayi hun kahan
Zindagi tu mujhe
Meri pehchaan de
Mera wajud tu bata
Main kaun hun kya hun
Jaana mujhe hain kahan
Ay zameen aasman
Ay hawa tu bata
Kaun hun main kya hun main
Kahan mujhe hain jaana

Kabhi kisi bhi mod par
Ruke mere kadam agar
Badhaungi main hosla
Chunungi main woh raasta
Chala na ho koi jahan
Yeh din yeh raat mujhme hain
Yeh kaaynaat mujhme hain
Yeh zameen aasman
Yeh jahan mujh mein hain
Main kya kahun yeh sach to yeh
Ke woh khuda mujhe mein hain.