Wo Chali Gham Ki Hawa Lyrics | Aaj Ki Baat

                        
                        mohabbat me kahi do dil hasenge
git gayenge, magar hum gam ke mare
raat din aansu bahayenge

wo chali gam ki hawa
mausam badalkar rah gaye
mausam badalkar rah gaye
zindagi ke kafile 
kuch dur chal kar rah gaye
mausam badalkar rah gaye
mausam badalkar rah gaye

humne socha tha jalayenge 
naye ghar me chirag, ghar me chirag
humne socha tha jalayenge 
naye ghar me chirag, ghar me chirag
do sitare aaj palko par machalkar rah gaye
zindagi ke kafile 
kuch dur chal kar rah gaye
mausam badalkar rah gaye
mausam badalkar rah gaye

jal uthi kismat hamari, chandani ki aag me
jal uthi kismat hamari, chandani ki aag me
phul jo khushiyo ke the sholo me dhalkar rah gaye
zindagi ke kafile 
kuch dur chal kar rah gaye
mausam badalkar rah gaye
mausam badalkar rah gaye