Pyaar Mohabat Lyrics | Ab Ke Baras

                        
                        Pyaar mohabbat ishq ibaadat
Aur kare kya ab ke baras
Tum jo mile ho sab kuch mila hai
Aur kya chaahe ab ke baras
Pyaar mohabbat ishq ibaadat
Aur kare kya ab ke baras

Tum jo mile ho sab kuch mila hai
Aur kya chaahe ab ke baras

Maine bhi kya khwaab sunhera dekha
Har chehre main tera chera dekha
Patjhad bahar basant ya barsaatein
Sab mausam karte hai teri baatein
Tere naam kardi maine sari zindagani
Mere har fasaane mein hai
Teri kahani main bhi to
Ban baithi hun teri deewani
Aa jile mar le had se guzar
Le aur kare kya ab ke baras
Pyaar mohabbat ishq ibaadat
Aur kare kya ab ke baras

Prem ka rang hai aisa jo na chute
Dor wafa ki jeevan bhar na tute
Betaabi tanhaayi pyaasi raatein
Jaaneman sab hai teri saugaate
Bekaraiyun ki halat
Kaise main bataaun
Ungliyon pe gin gin ke
Din main guzarun
Chaahat yehi tujhko dulhan banaau

Oh hum joli rasmo ki doli le
Tu aaja ab ke baras
Pyaar mohabbat ishq ibaadat
Aur kare kya ab ke baras.