Kisi Surat Bhi Lyrics | Awara Zindagi

Lyricist : Hasan Kamal
Music Director : A A Darpan Music ,
Singer : Anwar
                        
                        kisi surat bhi nind aati nahi main kaise so jaaun
koi shay dil ko bahlati nahi main kaise so jaaun
main kaise so jaaun

akela pake mujhko yaad unki aa to jaati hai
akela pake mujhko yaad unki aa to jaati hai
magar fir laut kar jati nahi main kaise so jaaun

main kaise so jaaun

shaba lekar tere jhulfo ki khusbhu aa to jati hai
shaba lekar tere jhulfo ki khusbhu aa to jati hai
magar paigam kuch laati nahi main kaise so jaaun
main kaise so jaaun

sitare ye khabar laye ke ab wo bhi presha hai
sitare ye khabar laye ke ab wo bhi presha hai
suna hai unko nind aati nahi nahi main kaise so jaaun
main kaise so jaaun
kisi surat bhi nind aati nahi main kaise so jaaun
main kaise so jaaun.