Awara Zindagi Lyrics | Awara Zindagi

Lyricist : Hasan Kamal
Music Director : A A Darpan Music ,
Singer : Anwar
                        
                        aawara zindagi
aawara zindagi
hoti hain kya zindagi, ji ke dekhe koi
aawara aawara zindagi

yu ji rahe hain ham in dino

jaise nahi koi gam in dino
yu ji rahe hain ham in dino
jaise nahi koi gam in dino
kaha pe gujre hain din kaha pe rate
bataye kyu kisi ko, raaj ki ye baate
har mod par saath chalti rahi
is dil ki aavargi
aawara aawara zindagi
hoti hain kya zindagi, ji ke dekhe koi
aawara aawara zindagi

barbaad hain ya aabad hain
har fikr se ham aajad hain
barbaad hain ya aabad hain
har fikr se ham aajad hain
jaha pe jaa baithe, saja li mahfil
jaha pe ja thahre, bana li manjil
ham muskura kar jidhar chal pade
duniya udhar chal padi
aawara aawara zindagi zindagi
hoti hain kya zindagi, ji ke dekhe koi
aawara aawara zindagi zindagi
aawara aawara zindagi zindagi
aawara aawara zindagi zindagi.