Mai Is Masum Chehre Ko Agar Chhu Lu To Kya Hoga Lyrics | Baghi Shahzada

                        mai is masum chehare ko agar chhu lu to kya hoga

are pagal wahi hoga jo manjure khuda hoga

gulabi hoth najuk se ye kala til hai ya katil
ye mana zulfe nagin hai magar hai pyar ke kar
agar bijli nigaho ki gire dil par to kya hoga
are pagal wahi hoga jo manjure khuda hoga
mai is masum chehare ko agar chhu lu to kya hoga

baharo me khararat hai nazaro me hai tikhapan
ye kya hone laga mujhko ye tufa to hai uljhan
shararat hai hawao me uda aanchal to kya hoga
are pagal wahi hoga jo manjure khuda hoga
mai is masum chehare ko agar chhu lu to kya hoga

ye bikhre se khayalo ka simatna hai bada mushkil
phulo ka khud bhi kanto se lipatna hai bada mushkil
bana lo aashiya apna jo kanto me to kya hoga