Aao Sunata Hoon Sabko Lyrics | Bal Ganesh

Lyricist : Shabbir Ahmed
Music Director : Smita Maroo , Shamir Tandon
Singer : Hariharan
                        
                        Aaj ek kahani
Aao sunata hu sab ko
Aaj ek kahani
Shayad lage nayi tumko
Par hai sadiyo purani
Shayad lage nayi tumko
Par hai sadiyo purani
Aao sunata hu sab ko
Aaj ek kahani
Shayad lage nayi tumko
Par hai sadiyo purani
Aao sunata hu sab ko
Aaj ek kahani

Kaise jab nandi ne maa
Parvati ka na mana aadesh
Kaise jab nandi ne maa
Parvati ka na mana aadesh
Toh mane phir kaise
Banaya apna ganesh
Apna bal ganesh
Apna bal ganesh
Kaunsa aadesh kaise
Bane ganesh kya huwa
Sab batata hu pehle sare bolo

Om ganeshay namah
Om ganeshay namah
Om ganeshay namah
Om ganeshay namah
Om ganeshay namah
Om ganeshay namah
Om ganeshay namah
Om ganeshay namah
Om ganeshay namah

Maa parvati jab jati thi nahane
Toh nandi karta peheredari
Sab ko tha woh rok leta par
Chup rehta shiv ki jab aaye sawari
Shiv jo chale aaye andar
Parvati huyi behad naraj
Par nandi tha bail shiva ka
Unke aage bilkul be aawaz
Phir kya huwa parvati ke mann me ek chah uthi
Kash koi hota mera
Jise main karti pyar
Jo manta meri bate
Mujhpe ho jata nisar
Kyun na main khud hi banau use
Dil ka ho ek tukda

Mere hi jaisa ho uska rang
Mere hi jaisa ho mukhada
Ganesh haan
Phir phir phir parvati ne gadha
Aur racha ik balak vishesh
Apne mail se banaya
Apna pyara ganesh

Achhi kahani hai par kuchh
Toh gadbad ghotala hai bhai
Maa parvati ne kya aisi
Thi balak ki surat banayi
Na sund na kan hathi ke
Kaisa hai iss balak ka bhes
Hai yeh nahi hai yeh nahi hai
Yeh nahi hamara ganesh
Bal ganesh ko hathi ka
Munh kaise mila
Woh ek aur kahani hai
Woh phir kabhi sunau
Aaj suni hai ham sab ne
Badhiya ek kahani
Lagti hai jo nayi nayi
Par hai sadiyo purani
Aao sunata hu sab ko

Aaj ek kahani
Aao sunata hu sab ko
Aaj ek kahani
Shayad lage nayi tumko
Par hai sadiyo purani
Aao sunata hu sab ko
Aaj ek kahani.