Waqt Ke Saath Lyrics | Begaanaa

                        
                        chal raha hu mere dil me sirf chalne ki khushi hai
aane wale kal ki surat meri aankho me basi hai
mar chuke hai wo jo thakkar raaste me baith jaye
wakt se ladta raha main wakt ka mara nahi hu
wakt ke saath hai zakhm bharta nahi
wakt ke saath hai zakhm bharta nahi
phir bhi jite hai sab koi marta nahi
phir bhi jite hai sab koi marta nahi
wakt ka zakham sah jaye aise hai kam
wakt ka zakham sah jaye aise hai kam
wakt gaye na gujare gujarta nahi
phir bhi jite hai sab koi marta nahi
wakt hota hai kya ye use hai pata
wakt ki aag me jo jala hai
wakt ka dusara naam takdeer hai
zor kismat pe kiska chala hai
wakt ki thokre chur kar de jise

wo bigad ke sawarta nahi
wakt ka zakham sah jaye aise hai kam
wakt gaye na gujare gujarta nahi
phir bhi jite hai sab koi marta nahi
dhup banke kabhi chhav banke kabhi
wakt chehare badalta rahega
wakt ki thokre khake bhi aadmi
yuhi girta sambhalta rahega
wo hai kya aadmi apni himmat se
jo wakt ka rukh badalta nahi
wakt ke saath hai zakham bharta nahi
phir bhi jite hai sab koi marta nahi
phir bhi jite hai sab koi marta nahi
wakt ki dhund se hum jo gujare kabhi
o... raah sujhe na koi kahi
aati jati rahi wakt ki aandhiya
chaand suraj bhuje to nahi
chaand suraj bhuje to nahi
wakt hai beraham kar le kuchh bhi sitam
wakt hai beraham kar le kuchh bhi sitam
wakt humse zuda to nahi
jite ji kyun mare wakt se kyun dare
wakt apna khuda to nahi
wakt apna khuda to nahi
wakt apna khuda to nahi
wakt apna khuda to nahi