Lagi Aaj Sawan Ki Lyrics | Chandni

                        
                        Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hain
Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hain
Wahi aag seene mein phir jal padi hain
Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hain

Kuch aise hi din the
Woh jab hum miley the
Chaman mein nahin
Phool dil mein khiley the
Wohi toh hain mausam
Magar rut nahi woh
Mere saath barsat bhi roh padi hain

Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hain
Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hain

Koi kash dil pe jara hath rakh de
Mere dil ke tukdon ko ik saath rakh de
Magar yeh hain khwabon khayalon ki baatein
Kabhi toot kar cheez koi judi hain
Lagi aaj sawan ki phir wo jhadi hain
Lagi aaj sawan ki phir wo jhadi hain
Wahi aag seene mein phir jal padi hain
Lagi aaj sawan ki phir wo jhadi hain.