Kismat Ki Baat Hai Are Kismat Ki Baat Hai Lyrics | Char Din

Lyricist : Shakeel Badayuni
Music Director : M Sadiq , Shyam Sundar
Singer : Suraiya
                        
                        arey kismat ki baat hai
arey kismat ki baat hai
Kal tak the din bahaar ke
Ab gham ki raat hai 
arey kismat ki baat hai
arey kismat ki baat hai

Dil ko lagi jo thes
to aansoon nikal pade ae
Aur aansoon ke saath hi
Naghme ubal pade
Ae darde dil bata kya teri
Ismein haath hai 
arey kismat ki baat hai
arey kismat ki baat hai

Daulat thhi jisme pyar ki
Wo ghar ujad gaya 
Aisa bana naseeb ke
Aisa bana naseeb ke
Ban kar bigad gaya 
Ab main hoon aur
Lute huye jeewan ka saath hai
arey kismat ki baat hai
arey kismat ki baat hai

Duniya ko ye gumaan ki
Duniya ne ki wafa 
Lekin mera qusoor ke
Maine na kuchh kaha 
Barbaadiyon mein pyaar ki
Khud mera haath hai 
arey kismat ki baat hai
arey kismat ki baat ha