Dil Insaan Kaa Ek Taraazu Jo Insan Ko Tole Lyrics | Charas

                        
                        dil insaan ka ek tarazu jo insaaf ko taule
apni jagah par pyaar hai kaym dharti ambar dole
sab se bada such ek jagat mein bhed anek jo khole
prem bina jiwan suna ye pagal premi bole

ki aaja teri yaad aayi
ki aaja teri yaad aayi
ki aaja teri yaad aayi
o baalam harjai

ki aaja teri yaad aayi
ki aaja teri yaad aayi
ki aaja teri yaad aayi
o baalam harjaai
ki aaja teri yaad aayi

zalim kitni der laga di
tumne aate aate
ab aaye ho ab na aate
to hum jaan se jaate
dil diwana diwani ko ham kaise samjhate
dete ram duhayi
ki aaja teri yaad aayi

fursat bhi hai mausam bhi hai
man hai rang raliyon mein
chhup gayi hai tu khushbu ban ke
shayad in kaliyon mein
maine tujhko kitna dhundha awara galiyon mein
yeh awaaz lagaayi
ki aaja teri yaad aayi

mast hawa me baat koi
aisee keh di kanon mein
jaise koi madiraa bhar de
khaalee paimanon mein
tadpa dala aaj machalte dil ke armano ne
rut ne li angadai
ki aaja teri yaad aayi
ki aaja teri yaad aayi
o baalam harjaai
ki aaja teri yaad aayi
ki aaja teri yaad aayi.