Balam Se Milan Hoga Lyrics | Chaudhvin Ka Chand

Lyricist : Shakeel Badayuni
Music Director : M Sadiq , Ravi
Singer : Geeta Dutt
                        
                        baalam se milan hoga sharmane ke din aaye
maarenge najar saiya mar jane ke din aaye
baalam se milan hoga sharmane ke din aaye
maarenge najar saiya mar jane ke din aaye

babul ka more aangan bichda chhuti re mori sakhiya
neer bahaye ghungat me mori laaj ki maari ankhiya
mori laaz ki mari ankhiya
bachpan ke wo din guiya yaad aane ke din aaye
baalam se milan hoga sharmane ke din aaye

pee sang more nain milenge dhadhkat mori chatiya
man hi man me dolungi main to preet ki sun ke batiya
main to preet ki sun ke batiya
thaamenge sajan baiya bal khane ke din aaye
baalam se milan hoga sharmane ke din aaye
maarenge najar saiya mar jane ke din aaye