Ye Lukhnow Ki Sar Zameen Lyrics | Chaudhvin Ka Chand

Lyricist : Shakeel Badayuni
Music Director : M Sadiq , Ravi
Singer : Mohammed Rafi
                        
                        ye lakhnau ki sar zami
ye lakhnau ki sar zami, ye lakhnau ki sar zami
ye lakhnau ki sar zami, ye lakhnau ki sar zami
ye rang roop ka chaman ye husn-o-ishq ka vatan
yahi to vo mukaam hai jaha avadh ki shaam hai
jawa jawa hasi hasi ye lakhnau ki sar zami
ye lakhnau ki sar zami

shabaab-o-sher ka ye ghar ye ahal-e-ilm ka nagar
hai manzilo ki god me yaha har ek rahguzar
ye shahar laaldaar hai yaha dilo me pyar hai
jidhar nazar uthaaiye bahaar hi bahaar hai
kali kali hai naazani
ye lakhnau ki sar zami, ye lakhnau ki sar zami

yaha ki sab ravaayate adab ki shaahakaar hai
ameer ahl-e-dil yaha gareeb jaa nisaar hai
har ek shaak par yaha hai bulbulo ki chah chahe
gali gali me zindagi kadam kadam pe kah kahe
har ik nazaara hai dilnashi
ye lakhnau ki sar zami, ye lakhnau ki sar zami

yaha ke dost bawafa, mohabbato se aashna
kisike ho gaye agar rahe usike umr bhar
nibhayi apni aan bhi, badhayi dil ki shaan bhi
hai aisa meharbaan bhi kaho to de de jaan bhi
jo dosti ka ho yakin
ye lakhnau ki sar zami, ye lakhnau ki sar zami
ye lakhnau ki sar zami, ye lakhnau ki sar zami
ye lakhnau ki sar zami