Darmiyaan Lyrics | Chef

Lyricist :
Music Director : Bhushan Kumar , Raghu Dixit
Singer : Raghu Dixit
                        
                        Teri meri mulaqaaton mein
Oh choti choti unn baaton mein
Tham jaata tha woh pal wahaan
Beeta lamha pata bhi na chala

Darmiyaan…darmiyaan…
Faasley kab aaye darmiyaan
Darmiyaan…darmiyaan…
Faasley kab aaye darmiyaan

Darmiyaan…

Kabhi meetha kabhi kadva saa
O sapna par woh apna tha
Jaane kaise paraya ho gaya
Sapna toota pata bhi na chala

Darmiyaan…darmiyaan…
Faasley kab aaye darmiyaan
Darmiyaan…darmiyaan…
Faasley kab aaye darmiyaan

Darmiyaan…

Sunte the ke hai ye daayra
Uss mein tha basa apna jahaan
Socha na tha badal jaayega
Tukda tukda sa reh jaayega

Toota iss kadar dekho yahan
Aisa bikhra sameta na gaya…

Darmiyaan…darmiyaan…
Faasley kab aaye darmiyaan
Darmiyaan…darmiyaan…
Faasley kab aaye darmiyaan

Darmiyaan…