Indian Film History

Badi Barbadiya Le Kar Lyrics

From Dhoon (1953)

Lyricist
Kaif Irfani
Duration
3:13
Badi barabaadiyaan le kar Meri duniyaan mein pyaar aaya Hansi ek baar aayi hai, to rona laakh baar aaya Badi barabaadiyaan le kar Bhara ashkon se vo daaman Jise phulon se bharna tha Mujhe is bevafa duniyaan Pe rona baar baar aaya Badi barabaadiyaan le kar Meri duniyaan mein pyaar aaya Badi barabaadiyaan le kar Vafa tadapi kushi royi Lute aramaan hansi duniyaan Jo aansu aankh mein aaya Vo ho kar beqaraar aaya Badi barabaadiyaan le kar Meri duniyaan mein pyaar aaya Hansi ek baar aayi hai, To rona laakh baar aaya Badi barabaadiyaan le kar.

More songs from Dhoon

Badi Barbadiya Le Kar Lyrics - Dhoon (1953) | Indian Film History