Teri Aahatein Nahin Hai Lyrics | Ek Main Aur Ekk Tu

                        
                        choti choti baate yunhi aate jaate yaade sehlake jati hai
raato ko sirhane baasi muskaane mujhko sulaake jati hai
milna nahi hai mumkin itna batao lekin hum phir mile kyu hai
tujhko bhula na paau, tujhko bhula na paau yeh silsile kyu hai
sab kuch wahi hai par kuch kami hai teri aahate nahi hai
sab kuch wahi hai par kuch kami hai teri aahate nahi hai, nahi hai

maine nahi jaana, tune nahi jaana jaane anjaane jo hua
kuch toh hua, jo mujhko hua na tujhko magar kyu hua
galti nahi hai teri, galti nahi hai meri phir bhi gile kyu hai
tujhko bhula na paau, tujhko bhula na paau ye silsile kyu hai
sab kuch wahi hai, wahi hai
par kuch kami hai, kami hai teri aahate nahi hai
sab kuch wahi hai, par kuch kami hai teri aahate nahi hai, nahi hai, nahi hai
teri aahate nahi hai, aahate nahi hai
teri aahate nahi hai
teri aahate nahi hai, aahate nahi hai
teri aahate nahi hai kyu kyu nahi hai