Jawani Jis Pe Aayi Lyrics | Gul E Bakavali

                        
                        jawani jis pe aayi diwana ho gaya
hoye diwana ho gaya
diwana do jahan se begana ho gaya
hoye begana ho gaya
hoye hoye hoye hoye hoye
allah re kisse kahiye jawani ka sama
ho jawani ka sama
kisi ki hain khudai
hoye kisi ka hain jahan
hoye hoye hoye hoye hoye

jawani ko shriro shokh nazaro ki jarurat hain
jawani wo kayamat hain jo had se khubsurat hain
jawani zindagi ka husn hain jane to aalam hain
nahi jane to aalam kya hain ye mane to aalam hain
ye mane to aalam hain
ye mane to aalam hain
ye mane to aalam hain
allah re kisse kahiye jawani ka sama
hoye hoye hoye hoye hoye

jawani khud hi sagaar hain, jawani khud hi maikhana
jawani ka nasha sabko bana deta hain diwana
jawani me jo masti hain jo maikhano ko le dube
jawani rosh me aaye to tufano ko le dube
jawani wo hain jiske ek halke se ishaare par
safine dono aalam ke pahunch jaye kinare par
badal dali jawa khaabo ki tabeere
badal dali jawani ne shehnshao ki taqdeere
badal dali ke taqdeere badal dali
ke taqdeere badal dali
ke taqdeere badal dali
allah re kisse kahiye jawani ka sama
hoye hoye hoye hoye hoye

jawani sirf jawani hain
jawani sirf shabnam hain
jawani sirf tanhaai
jawani ek angdaai
jawani zehar ka pyaala
jawani chand ka haala
jawani ko jafa kahiye
jawani ko wafa kahiye
jawani ek kahani hain
jawani gairfani hain
jawani sirf jawani hain
kayamat hain duhaai hain
jawani ka zamana hain
jawani ka zamana hain
jawani ki khudaai hai.