Jiya Lyrics | Gunday

                        
                        Jiya main na jiya
Reza reza mera jiya
Jiya main na jiya
Reza reza mera jiya

Main begaana sa
Tha deewana sa
Mujhko teri chahat
Ne bata diya

Jiya jiya main na jiya
Jiya jiya main na jiya
Jiya jiya haan main na jiya

Ho likhoon hawaon pe main
Nainon se naam tera
Ho saaye se main haathon ke
Saaya loon thaam tera


 
Ishq ka tu hai rab
Jiske chaaron taraf
Meri baahon ke ghere ka
Bane haashiyaan.

Jiya main na jiya
Reza reza mera jiya
Jiya main na jiya
Main na jiya

Naina firozi neher khwabon
Ke paani mein ghar
Ho aise hoon main tere bin
Sehera ki jaise sehar

Saans mein tu bhare
Do jahan se pare
Aake tujhse miloon main
Mere zaathiyaa

Jiya main na jiya
Reza reza mera jiya
Jiya main na jiya
Main na jiya.