Aasman Se Mujhpe Bhi Barsa De Aag Lyrics | Hatimtai Ki Beti

                        
                        Aasman Se Mujhpe Bhi Barsa De Aag
lut gayi mai lut gaya mera suhaag
kyu tune mohabbat ko meri kar diya barbaad
fariyaad hai fariyaad
kyu tune mohabbat ko meri kar diya barbaad
fariyaad hai fariyaad
majnuo par ye julmo sitam aur ye bedaag
fariyaad hai fariyaad
majnuo par ye julmo sitam aur ye bedaag
fariyaad hai fariyaad

kah de na jamaana ki tera kaisa khuda hai
kah de na jamaana ki tera kaisa khuda hai
jo ujadi huyi maang teri dekh raha hai
ha dekh raha hai
sun le meri aahe mere laale meri fariyaad
fariyaad hai fariyaad
sun le meri aahe mere laale meri fariyaad
fariyaad hai fariyaad

imaan luta jaata hai sultaan ke haatho
shaitaan ka ser tod de imaan ke haatho
ho imaan ke haatho
bande ko badi se tu kar insaan ko aazad
fariyaad hai fariyaad
bande ko badi se tu kar insaan ko aazad
fariyaad hai fariyaad

khuda maine ki hai teri bandagi
lauta mere shauhar ko phir se jindagi
ujadi huyi is maang ko kar de meri aabaad
fariyaad hai fariyaad
ujadi huyi is maang ko kar de meri aabaad
fariyaad hai fariyaad
kyu tune mohabbat ko meri kar diya barbaad
fariyaad hai fariyaad
fariyaad hai fariyaad, fariyaad hai fariyaad
fariyaad hai fariyaad