Indian Film History

Ek Din Hatim E Tai Se Lyrics

From Hatimtai Ki Beti (1955)

Lyricist
Shevan Rizvi
Duration
4:59
Ek din hatim e tai Se kisi ne poochha Kyun museebat mein giraftaar Tu rehta hai sada doosro ke liye Kyon phirta hai mara mara Bola kuchh aur nahin Jaanta hun is ke siwa Jab yaha se jaaunga Main aur kya le jaaunga Jab yaha se jaaunga Main aur kya le jaaunga Ek neki ek bhalai Ek dua le jaaunga Jab yaha se jaaunga Main aur kya le jaaunga Chaar din ki zindagani Aur duniya chand roz Chaar din ki ye sarai hai Jismein rehna chand roz Kyon na kar jaaun jaha Mein naam apna chand roz Kyon na kar jaaun jaha Mein naam apna chand roz Ek apna amalnama Naam-e-khudaa le jaaunga Jab yaha se jaaunga Main aur kya le jaaunga Ek neki ek bhalai Ek dua le jaaunga Jab yaha se jaaunga Main aur kya le jaaunga Maut ke toofaan mein Insaan jab beh jaayega Heera moti sona chaandi Sab yahin reh jaayega Jaate jaate jaane waala Bas yahi keh jaayega Jaate jaate jaane waala Bas yahi keh jaayega Main yaha laaya thha kya Aur saath kya le jaaunga Jab yaha se jaaunga Main aur kya le jaaunga Ek neki ek bhalai Ek dua le jaaunga Jab yaha se jaaunga Main aur kya le jaaunga Khaaq ka putla hun main Aur khaaq mein mil Jaaunga beej jaise bounga Waise hi phal main paaunga Ab nahin socha to marte Dam bahut pachhtaaunga Ab nahin socha to marte Dam bahut pachhtaaunga Daaman-e-hasti gunaahon Se bhara le jaaunga Jab yaha se jaaunga Main aur kya le jaaunga Ek neki ek bhalai Ek dua le jaaunga Jab yaha se jaaunga Main aur kya le jaaunga Jab yaha se jaaunga Main aur kya le jaaunga.

More songs from Hatimtai Ki Beti

Ek Din Hatim E Tai Se Lyrics - Hatimtai Ki Beti (1955) | Indian Film History