Aao Logo Tumhe Sunaau Lyrics | Hum Kahan Ja Rahe Hain

                        
                        Aao logo tumhe sunaau
Apne ghar ki kahani
Nangi hokar nach rahi hai
Desh mein beimani
Kahi hai dhokha kahi
Daga hai or kahi manmani
Nangi hokar nach rahi hai
Desh mein beimani

Ek taraf seema par sankat
Ek taraf makkari
Ek taraf seema par sankat
Ek taraf makkari
Udhar sipahi khun bahate
Idhar hai choru bazari
Isse badhkar ab kya hogi
Apane patan ki nishani
Isse badhkar ab kya hogi
Apane patan ki nishani
Nangi hokar nach rahi hai
Desh me beimani

Kisi tarah ban jaye lakhpati
Inke yahi mansube
Kisi tarah ban jaye lakhpati
Inke yahi mansube
Inko apna ghar bharna hai
Desh bhale hi dube
Inko apna ghar bharna hai
Desh bhale hi dube
Humane purkho ki izzat par
Pher diya hai pani
Humane purkho ki izzat par
Pher diya hai pani
Nangi hokar nach rahi hai
Desh me beimani

Kaha gaya wo samay ke jab the
Harischandar se dani
Kaha gaya wo samay ke jab the
Harischandar se dani
Kaha ram hai kaha bharat hai
Kaha hai sita rani
Wo bhi hindustani the
Or hum bhi hindustani
Wo bhi hindustani the
Or hum bhi hindustani
Nangi hokar nach rahi
Hai desh me beimani


 
Suno bhayio ek tadapte
Dil ne tumhe pukara
Suno bhayio ek tadapte
Dil ne tumhe pukara
Aaj lagado nagar nagar mein
Gav gav me nara
Aaj lagado nagar nagar mein
Gav gav me nara
Chahe apna bap ho chahe
Beta apna pyara
Chahe apna bap ho chahe
Beta apna pyara
Jo bhi yaha hai desh ka dusman
Dusman hai wo hamara
Dusman hai wo hamara
Dusman hai wo hamara
Dusman hai wo hamara.