Hume Toh Maar Diya Lyrics | Hum Kahan Ja Rahe Hain

                        
                        Haye hame toh mar diya are kisne bhai
Hame toh mar diya milke duniya walo ne
Kabhi ustado ne kabhi gharwalo ne
Hame toh mar diya milke duniya walo ne
Kabhi ustado ne kabhi gharwalo ne
Hame toh mar diya

Aaj hindusatan ke sab shayar
Badnasibo ki bat karte hai
Ya likhenge
Ya garibo ki bat karte hai
Ha ya hasino ki julf me uljhe
Ya rakibo ki bat karte hai
Ha nojawano ka gum likhe na koi
Hampe kya hai sitam likhe na koi
Ha hampe kya hai sitam likhe na koi
Hame toh mara hai kisne bhai
Hame toh mara hai lecture sunane walo ne
Kabhi ustado ne kabhi gharwalo ne
Hame toh mar diya milke dunia walo ne
Kabhi ustado ne kabhi gharwalo ne
Hame toh mar diya

Ghar ki halat to hu bahu suniye
Bap bete ki guftgu suniye
Ha kal kaha tha maine ye dady se
Lao paise hamari arz hai ye
Tumhe pala tumhare daddy ne
Hame palo tumhara farz hai ye
Ha tum mahine me tees dete ho
Nakdi do din hi pas rehti hai
O athayis din mahine me
Jeb meri udas rahti hai
Yar dete hai mujhko dawat roz
Mai abhi ek din unhe bulata hu
Ha jau hotel me badsah bankar
Or kangal banke aata hu
Aye mere bap tujhe apne hi bete ki kasam
Phir mujhe apne khazane ka sahara de de
Tees ke not meri jan dobara dede
He mere bap

Ha daddy bole mre aziz ho tum
Ek number ke badtamiz ho tum
Ha ek number ke badtamiz ho tum
Sunai galiya are kisne bhai
Sunai galiya kya kya sunane walo ne
Kabhi ustado ne kabhi gharwalo ne
Hame toh mar diya milke dunia walo ne
Kabhi ustado ne kabhi gharwalo ne
Hame toh mar diya hay


 
Apne teacher bhi kya kamal ke hai
Kya batau azab khyal ke hai
Ha apne teacher kabhi na khush honge
Hamne toh azma ke dekh liya
Unka para kabhi utarta nhi
Hamne maska lagake dekh liya
Tight patlun se unhai jidd hai
Hero cut bal kat khate hai
Ha chup raho toh wo kehte hai gungi
Kuch bole toh dant khate hai
Jitni insult meri karte hai
Utni insult toh khuda ne bhi
Kabhi saitan ki na ki hogi
Baat karne par bhi hai pabandhi
Aah bharne par bhi hai pabandhi
Ha aji jine ka jikara ka kijiye
Yaha marne par bhi hai pabandi
Hame khabro ke soch tha ke mar jayenge
Marke bhi mil gaye toh teacher toh akha jayenge
Marke bhi mil gaye toh teacher toh akha jayenge
Dimag chata hai
Dimag chata hai inke safed balo ne
Kabhi ustado ne kabhi gharwalo ne
Hame toh mar diya milke dunia walo ne
Kabhi ustado ne kabhi gharwalo ne
Kabhi ustado ne kabhi gharwalo ne
Kabhi ustado ne kabhi gharwalo ne.