Dono Hi Ko Bigdi Kismat Ne Lyrics | Humayun

                        
                        dono hi ko bigdi kismat ne
diwana bana kar chhod diya
diwana bana kar chhod diya

jo tu shama banaye ban na sake
parwana bana kar chhod diya
parwana bana kar chhod diya

kab dhalne lagi nind udne lagi
aur ja bewafa pura na hua
kismat ki kami ne aadha hi
afsana bana kar chhod diya
afsana bana kar chhod diya

jo dil tha ummido ki dunia
jo dil tha ummido ki dunia
us dil me hai ab sannata sa
us dil me hai ab sannata sa
khud apni basai basti ko
virana bana kar chhod diya
virana bana kar chhod diya
dono hi ko bigdi kismat ne
diwana bana kar chhod diya
diwana bana kar chhod diya