Phulo Me Jo Khushbu Hai Kaise Woh Aati Hai Lyrics | Jeans

                        
                        phulo me jo khushbu hai, kaise woh aati hai
titali kaha se, yeh sare rang lati hai
hawa ko basuri banati hai, sangit kaise
koyal ne sikhe hai, yeh itne pyare git kaise
hai yeh ajube lekin ek aur ajuba hai
dharati se, ambar se, parvat se, sagar se
hamne suna pyar ajuba hai oh
pehli najar me hi jo do dilo me ho
har woh karar ajuba hai oh

phulo se jo khushbu aaye, ajuba hai
titali jo sare rang laye, ajuba hai
basuri kaa yeh sangit ajuba hai
koyal jo gati hai, git ajuba hai
yeh bhi hairan hai, aisa bhi ek ajuba hai
dali me mahek hoti hi nahi, kaliyo me mahek aa jati hai
yeh bhi ajuba hi hai, sagar se ghata jo uthati hai
mitha pani barsati hai, yeh bhi ajuba hi hai

jungle me jugnu ko, dekho toh yeh socho
yeh roshani iss me aayi kaise
tan me jo hai jan, woh kis tarah hai
mann me hai arman, toh kis tarah hai
keh bhi do yeh bhi toh, koyi ajuba hai
dharati se, ambar se, parvat se, sagar se
hamne suna pyar ajuba hai oh
pehali najar me hi jo do dilo me ho
har woh karar ajuba hai oh
phulo se jo khushbu aaye ajuba hai
titali jo sare rang laye ajuba hai
basuri kaa yeh sangit ajuba hai
koyal jo gati hai git ajuba hai
yeh bhi hairan hai, aisa bhi ek ajuba hai
ajuba ajuba ajuba, ajuba ajuba ajuba

kehne ko sath ajube hai, par shayad log yeh bhule hai
ek aur ajuba bhi hai, resham resham chandan chandan
teraa maheka maheka yeh badan, koyi ajuba bhi hai
aankhon ke nile darpan, honto kaa yeh bhigapan
yeh rup teraa, ajuba yeh toh hai
baaho ki garmi, yeh bhi ajuba hai
aankhon ki narmi, yeh bhi ajuba hai
yeh chaman sa badan koyi ajuba hai
dharati se, ambar se, parvat se, sagar se
humne suna pyar ajuba hai
pehali najar me hi jo do dilo me ho
har woh karar ajuba hai

phulo se jo khushbu aaye, ajuba hai
titale jo sare rang laye, ajuba hai
basuri kaa yeh sangit, ajuba hai
koyal jo gati hai git, ajuba hai
yeh bhi hairan hai jispe tum woh ajuba ho