Yeh Meri Kahaani Lyrics | Kahaani

                        
                        chup rehkar bhi yeh
sab kuch kehti hai
sab kuch kehkar bhi
chup hi rehti hai
kabhi aankhon se karke ishaara
kabhi baahon ka deke sahara
mera inn raahon se hai rishta koi
anjaana sa purana kissa koi
inse jo pucho to kahengi yeh meri kahaani

taxi ke bhawre hai gaa rahe
kitni zameenay hai yeh jaa rahe
manzil kahan hai na kisi ko hai pata
train ki ghanti ishaaron mein
kisse kisi ke chupa rahi hai
dil se suno to
yeh sab kuch meri bata
mera inn raahon se hai rishta koi
anjaana sa purana kissa koi
inse jo pucho to kahengi yeh meri kahaani

sadkon par iski sapne chalte hai
sau kho jaate hai do sach bante hai
yehi raahein kabhi zanjeerein
kabhi haathon ki yeh lakeerien
mera inn raahon se hai rishta koi rishta koi
anjaana sa purana kissa koi kissa
inse jo pucho to kahengi yeh meri kahaani