Indian Film History

Jab Naam-E-Mohabbat Leke Lyrics

From Kala Pani (1958)

Duration
3:20
Jab naam-e-mohabbat leke kissi Nadaan ne daaman phailaayaa Jab naam-e-mohabbat leke kissi Nadaan ne daaman phailaayaa Pehloo mein ajab saa dard utthha Palkon pe ek aansoon thharraayaa Dil baithe baithe bhar aayaa Kya kahiye hamein kyaa yaad aayaa Kyaa kahiye hamein kyaa yaad aayaa Aji chhodo ye taraanaa hai puraanaa Ulfat hai deewaanon ka fasaana jee lo jee lo Ye hai jeene kaa zamaanaa Pyaar kaisaa kahaan ki waffaa aise ae aise ae Aji chhodo ye taraanaa hai puraanaa Ulfat hai deewaanon ka fasaana jee lo jee lo Ye hai jeene kaa zamaanaa Pyaar kaisaa kahaan ki waffaa Yaad aayee kissi ki mehki huyee Saanson ki hawaa halki halki Yaad aayee kissi ki mehki huyee Saanson ki hawaa halki halki Woh shaam woh rangon ke baadal Chunri woh meri dhalki dhalki Ik baat ne kitnaa tadpaayaa Kya kahiye hamein kyaa yaad aayaa Kyaa kahiye hamein kyaa yaad aayaa Aji chhodo ye taraanaa hai puraanaa Ulfat hai deewaanon ka fasaanaa Jee lo jee lo ye hai jeene kaa zamaanaa Pyaar kaisaa kahaan ki waffaa Chhodo chhodo chhodo chhodo Chhodo chhodo ae jee chhodo chhodo Aji chhodo ye taraanaa hai puraanaa Ulfat hai deewaanon ka fasaanaa Jee lo jee lo ye hai jeene kaa zamaanaa Pyaar kaisaa kahaan ki waffaa Duniyaa se na rakh Ummeed-e-waffa Jab yoonhi kissi ne samjaya Duniyaa se na rakh Ummeed-e-waffa Jab yoonhi kissi ne samjaya Kuchch aur badhhee seene ki jalan Kuchch aur badhaa gham ka saayaa Reh rehke hamein ronaa aayaa Kya kahiye hamein kyaa yaad aayaa Kyaa kahiye hamein kyaa yaad aayaa.

More songs from Kala Pani

Jab Naam-E-Mohabbat Leke Lyrics - Kala Pani (1958) | Indian Film History