Lo Shuru Huyee Iss Bar, Ham Me Tum Me Takarar Lyrics | Kashinath

                        
                        lo shuru hui is bar hamme tumme takrar
ab mere dil ka daag ho tum
kuch nahi gale ka har sunte ho

acha mai tere dil ka daag sahi
par daag hu pyara pyara
bin daag na dega chand kabhi
thanda mitha ujiyara
kanta na laga ho phul ke sath
to phul hai bilkul khar
kya isi tarah ki hogi shuru
hamme tumme takarar

ham tum me hamesha tani rahegi
kabhi na hoga mel
bhule to na honge abhi tumhe
wo balakpan ke khel
is bar magar kuch aisi thanegi
lakh banaye nahi banegi
mil kar bhi rahenge alag alag
jaise pani aur tel
mai jake kahi chup jaunga
aur pihu pihu ki bol ke boli
dil me dard uthaunga
mai dil ka dard mitane
aur man ka mit manane
jhat in charno me aan girungi
kar ke prem pukar
kya isi tarah ki hogi shuru
ham tum me takarar