Intezaar Aitbaar Tumse Pyar Lyrics | Khosla Ka Ghosla

Lyricist : Jaideep Sahni
Music Director : Savita Raj Hiremath ,
Singer : Sowmya Raoh
                        
                        Darr yeh lagta hai kya yeh sapana hai
Ab jo apana hai kal woh kaha hai
Darta dil pooche baar baar
Darta dil pooche baar baar
Intezaar aitbaar tumse pyar itna karu
Intezaar aitbaar tumse pyar itna karu

Aansu aate the laut jaate the
Lamhon pe lamhen chatpatate the
Phir bhi kiya hai intezaar
Phir bhi kiya hai intezaar
Intezaar aitbaar tumse pyar itna karu
Kya pyar hai kya hai nahi
Maine nahi poocha na

Ho tum mere yah ho nahi
Maine nahi poocha na
Poocha nahi baar baar
Poocha nahi baar baar
Intezaar aitbaar tumse pyar itna karu
Intezaar aitbaar tumse pyar itna karu

Ek din aayega tanha reh jaayega
Ek din aayega tanha reh jaayega
Dost kya dushman kya dhundh na paayega
Maula ke saamne kehta reh jaayega
Intezaar aitbaar tumse pyar kitna karu
Intezaar aitbaar tumse pyar kitna karu
Intezaar kitna karu
Aitbaar kitna karu
Intezaar aitbaar tumse pyar kitna karu

Chhoti raaten hai kitni baaten hai
Ab jo aaye ho ab batate hai
Thaamon hamein ab ek baar
Thaamon hamein ab ek baar
Intezaar aitbaar tumse pyar itna karu…