Kaun Tujhko Maa Kahega Lyrics | Laadla

                        
                        Kaun tujhko maa kahega
Tu kisi ki maa nahi
Tere dil mein maa mamta ka
Ek bhi arman nahi
Kaun tujhko maa kahega
Tu kisi ki maa nahi

Phul jis dali se nikla
Hak usi dali ka hai
Phul jis dali se nikla
Hak usi dali ka hai
Teri hasti tera darza
Teri hasti tera darza
Kaun sapath maa leta hai
Jhuth ko sach kar dikhana
Is kadar aasan nahi
Kaun tujhko maa kahega
Tu kisi ki maa nahi
Tu kisi ki maa nahi

Soch jiska ye jigar hai
Aaj wo roti hai kyu
Soch jiska ye jigar hai
Aaj wo roti hai kyu
Tu kisi ke aasuo se
Tu kisi ke aasuo se
Apna muh dhoti hai kyu
Jo khushi chine kisi ki
Wo koi insan nahi
Kaun tujhko maa kahega
Tu kisi ki maa nahi
Tere dil mein maa mamta ka
Ek bhi arman nahi
Kaun tujhko maa kahega
Tu kisi ki maa nahi
Tu kisi ki maa nahi
Maa nahi.