Kisi Ko Suhani Shaam Ka Hai Intezar Lyrics | Lahoo Pukarega

Lyricist : Verma Malik
Music Director : Jaimal , Sonik-Omi
Singer : Asha Bhosle
                        
                        kisi ko suhani shaam ka hai intzaar
kisi ko chhalakte jaam ka hai intzaar
kisi ko husan ke paigam ka hai intzaar
mujhe intzaar dildaar ka hai
jisse hai pyar us yaar ka hain

yaar mahfil mein nahi to
kya hai ye mahfil
yaar mahfil mein nahi to
sabki aanke dhundhti hai
aur tadapte hai dil
ab to meri tanhaaiyaan bhi
ho gayi hai bekaraar
mujhe intzaar dildaar ka hai
jisse hai pyar us yaar ka hain

aaye to uspe luta dun jindagi apni
aaye to uspe luta dun
ab to dilbar ki khushi mein hai khushi apni
aa gaya wo mahfil mein jiska tha mujhe intzaar
tha mujhe intzaar.