Ye Hichaki Sharaab Ki Nahi Hai Dosto Lyrics | Lahoo Pukarega

Lyricist : Verma Malik
Music Director : Jaimal , Sonik-Omi
Singer : Manna Dey
                        
                        ye hichaki sharaab ki nahi nahi hai dosto
ye hichaki sharaab ki nahi hai dosto
ye hichaki sharaab ki nahi hai dosto
kisi ne mujhe yaad kiya hai
ya mera naam liya hai
ye hichaki sharaab ki nahi hai dosto
ye hichaki sharaab ki nahi hai dosto

o mere bichhade pyar ye bata kaha hai tu
mere bichhade pyar ye bata kaha hai tu
tadap rahi hai tujhse ye milne ki aarzoo
khushiyaan mile tujhe tera aabad ho jaha
duaae ban gayi hai aaj meri hichakiyaan
kahi na kahi tune mera jikar kiya hai
ya mera naam liya hai
ye hichaki sharaab ki nahi hai dosto
ye hichaki sharaab ki nahi hai dosto

ye dard ka rishta hai kabhi chhuta nahi
ye dard ka rishta hai kabhi chhuta nahi
ye waqt aur faasle se tutta nahi
lahu ki is utaar ka chhaya surur hai
wo dil ke pass hai chahe aankho se dur hai
mujhko bewafaai ka ilzaam diya hai
ya mera naam liya hai
ye hichaki sharaab ki nahi hai dosto
ye hichaki sharaab ki nahi hai dosto

rukta raha har mod pe tere hi vaaste
rukta raha har mod pe tere hi vaaste
shayad kabhi mil jaye kahi apne raaste
mumkin hai phir se jindagi mein sath ho kahi
in uljhe raasto pe mulakaat ho kahi
aaj mera zakhame jigar chhed diya hai
ya mera naam liya hai
ye hichaki sharaab ki nahi hai dosto
ye hichaki sharaab ki nahi hai dosto
kisi ne mujhe yaad kiya hai
ya mera naam liya hai
ye hichaki sharaab ki nahi hai dosto
ye hichaki sharaab ki nahi hai dosto.