Kab Socha Tha Lyrics | Lottery

                        
                        Pyaar ki hairaaniya, chain mein thi bechainiya
Pyaar ki hairaaniya, chain mein thi bechainiya
Dil toh parinda hai, ishqo se jinda hai
Sine mein mar jaayega
Kab socha tha, socha tha
Pyaar yun tadpaayega
Kab socha tha, socha tha
Pyaar yun tadpaayega
Kab socha tha, socha tha
Pyaar yun tadpaayega

Aadhi tamanna sulagati hai kyun
Ek dard ban ke bilagati hai kyun
Aadhi tamanna sulagati hai kyun
Ek dard ban ke bilagati hai kyun
Main saans bhi lunga agar
Main saans bhi lunga agar
Toh bhi jiya nahi jaayega
Kab socha tha, socha tha
Pyaar yun tadpaayega
Kab socha tha, socha tha
Pyaar yun tadpaayega
Kab socha tha, kab socha tha
Pyaar yun rulaayega

Sar pe mere aasmaan abb nahi
Na paanv ke niche hai yeh jameen
Sar pe mere aasmaan abb nahi
Na paanv ke niche hai yeh jameen
Tinaka hoon main jhonka koyi
Tinaka hoon main jhonka koyi
Aake uda le jaayega
Kab socha tha, socha tha
Pyaar yun tadpaayega
Kab socha tha, socha tha
Pyaar yun tadpaayega
Kab socha tha, kab socha tha
Pyaar yun rulaayega.