Akeli Na Bazaar Jaya Karo Lyrics | Major Saab

                        
                        akeli na bazaar jaya karo nazar lag jayegi
sabki nazar mein na aaya karo nazar lag jayegi
akeli na bazaar jaya karo nazar lag jayegi
sabki nazar mein na aaya karo nazar lag jayegi

samjho zara baat meri janaab
bajaria mein sabki najaria kharaab
nazar lag jayegi, nazar lag jayegi
akeli na bazaar jaya karo
nazar lag jayegi, nazar lag jayegi

tum aaina jo dekho wo bhi sambhal ke dekho
tum aaina jo dekho wo bhi sambhal ke dekho
chanchal sa man tumhara na faansle tumhi ko
chanchal sa man tumhara na faansle tumhi ko

darpan se khud ko bachaya karo
nazar lag jayegi, nazar lag jayegi
akeli na bazaar jaya karo
nazar lag jayegi, nazar lag jayegi

o, patjhad ho ya ho sawan ho basant ya bahaar
patjhad ho ya ho sawan ho basant ya bahaar
tere roop ka nazara deta mujhe karaar

tere roop ka nazara deta mujhe karaar
na jhatka ke zulfein phiraya karo
nazar lag jayegi, nazar lag jayegi
akeli na bazaar jaya karo
nazar lag jayegi, nazar lag jayegi

maine tumse ye kaha tha mujhe saath le ke chalna
maine tumse ye kaha tha mujhe saath le ke chalna
tumne bhi yahi bola haan saath hi hai chalna
tumne bhi yahi bola haan saath hi hai chalna
waada kiya to nibhaya karo
baat ban jayegi, baat ban jayegi

akeli na bazaar jaya karo nazar lag jayegi
sabki nazar mein na aaya karo nazar lag jayegi
deewana kar dogi duniya ko tum
magar baat meri na manogi tum
nazar lag jayegi, nazar lag jayegi
nazar lag jayegi