Tere Pyar Mein Main Madhosh Raha Lyrics | Major Saab

                        
                        tere pyaar me main madhosh raha
mujhe behka hua baadal na samajh
tere pyaar me main madhosh raha
mujhe behka hua baadal na samajh
maine bhi duniya dekhi hai
maine bhi duniya dekhi hai
aye yar mujhe paagal na samjh
tere pyaar me main

mere dil ki lagi, ko na jana koi
mera dil kisi gam ka aadi hain
meri jaan kisi ki is dil me
chhoti si ek samaadhi hain
ek gam ki badali
ek gam ki badali chhai hain
tu apna use aanchal na samjh
tere pyaar me main madhosh raha
tere pyaar me main madhosh raha
mujhe behka hua baadal na samajh
tere pyaar me main

tere gam me mera gam shaamil hain
ye baat bhual dun main kaise
main tere bina nahi ji sakta

main tujhse chhupa lun ye kaise
ek khwaab tha
ek khwaab tha jo ki tut gaya
tu dil ki mere halchal to samjh
tere pyaar me main madhosh raha
tere pyaar me main madhosh raha
mujhe behka hua baadal na samajh
maine bhi duniya dekhi hai
aye yar mujhe paagal na samjh
tere pyaar me main