Hawa Ki Chadar Lyrics | Manthan Ek Kashmakash

                        
                        hawa ki chadar sili sili hai
kali ye man ki khili khili hai
dil bekraar sa hai, ek intezaar sa hai
aata hai tassavur me koi
tanhaai mehakne lagti hai
jalta hai badan chandan ki tarah
parchaai mehakne lagti hai
hawa ki chadar sili sili hai
kali ye man ki khili khili hai

mera naam aasmaan par likh kar
koi paagal machalta rahta hai
mera naam aasmaan par likh kar
koi paagal machalta rahta hai
narm baadal ki aad me chhipkar
koi kapde badalta rahta hai
jab suraj ko sardi lagti hai
vo badli odh ke so jata hai
main saj ke nikal jaati hun ghar se
har patthar darpan ban jaata hai
hawa ki chadar sili sili hai
sili sili hai, sili sili hai

fir hawa bekraar lagti hai
meri raaton ki karwato ki tarah
fir hawa bekraar lagti hai
meri raaton ki karwato ki tarah
jheel me halki halki lahre hai
mere bistar ki silwato ki tarah
main dhoop ko mutthi me rakh lun to
vo raat ko jugnu ban jaati hai
mere tan se hawa jab takraati hai
vo pal me khushbu ban jati hai

hawa ki chadar sili sili hai
kali ye man ki khili khili hai
dil bekraar sa hai, ek intezaar sa hai
aata hai tassavur me koi
tanhaai mehakne lagti hai
jalta hai badan chandan ki tarah
parchaai mehakne lagti hai
hawa ki chadar sili sili hai
kali ye man ki khili khili hai
sili sili hai, sili sili hai.